Pages

Saturday 13 January 2018

Jism e insani ka ilaaj

💉Jism e insani ka ilaaj💉

🍶ilaaj kay  treeqay🍶

✨1-Pehli qism : Is may koi shakhs kisi tabib kay mashwarey ka mohtaaj nahi.

🔸Allah SWT ney insaan aur hewaan dono may baaz cheezen fitri rakh di hein jesey bhook ka ilaaj kha kr,piyaas ka ilaaj pee kr, thakan ka ilaaj araam kr kay  kia jata hai yani in sub ka ilaaj in kay mutazaad ( yani opposites ) kay sath kia jata hai.

✨2-Doosri qism : Jo ghor o fikr aur samajh ki mohtaj hai yani khud ilaaj mumkin nahi totkay aur tadbeeren koi faida nahi dey rahein.

🔸Aesi surat may kisi hakeem ya mu'alij say rabtah krna ho ga.

🍶Bimaari anay ki Wujuhaat 🍶
                    
✨Jism kay haquq puray na krna ya be-aetadali.

🔸Be-aetadali sardi, garmi,khushki aur nami ki wajah se peda ho skti hai.

🍚Aetadal may laney kay liye🍚                                                  
✨Her kaam ko waqt per karna.

✨Khanay, pinay,sonay jagnay ki routine ko darust karna.

✨Hamara jigar raat 11 baje say subh 3 baje tak so jata hai, lihaza in oqaat may khanay  say parhez krna.

✨Mahir tabeeb say raju krna jo bimaari ka ilaaj ker sakay.

🔸Apni khoraak may dhoodh ko shamil krna bhi 
bohat zaruri hai.

🍶Tareeqa e ilaaj🍶

✨Sunnat e Rasool (S.A.W.W) yh  thi kay  Ap (S.A.W.W) khud ilaaj krtey aur dosron ko ilaaj ki hidayat farmatey.

✨Ap (S.A.W.W) nay aur Sahaba e Kraam nay kabhi murakkab dawaaen (compound medicine) istimaal nahi kein.

🔸Murakkab dawaon ki surat may, jism , jo ghizayat qudarti tariqay say pohancha raha hai wo kaam krna chor deta ha kiyun kay  is tarah usko baney bnaye ajza milna shuru ho jatey hein.

🍶Sunnat tareeqa e ilaaj🍶
           
✨1-Mufridaat (single remedy treatment) say ilaaj hai.Yani aik waqt may aik dawa ya mukhtalif dawaen alag waqt may khana.

✨Khaney may sadgi ikhtiyar krna.

🍚Her bimaari ka ilaaj🍚

✨ Hadees (mafhoom) hai "Her bimaari ka ilaaj mojud hai. Jb dawa ka istimaal  bimaari kay mutabik kia jaye to Allah kay hukum say shifa ho jati ha."

✨Hadees (mafhoom) hai."Allah ta'llah nay jb koi bimaari peda fermayi to uski shifa aur dawa bhi sath naazil farmayi"

✨Yeh ahadees hamein mayusi say nikalti hein kay Aids,Hepatitis,aur Cancer jesi bimaariyon ka ilaaj mojud hai.

✨Is baat ka yaqeen aa jana chahye Kay dawa mojud hai agarchy hum us say laa ilm hon aur shifa bhi mojud hai.

✨Sirf burhapa laa ilaaj hai.

✨Abu Khuzamah (R.A) say marvi ha kay  may ney Rasool Allah  (S.A.W.W) say arz kia kay ap kay samnay hai, hum jhaar phoonk krtey hein aur dawaon ka istimaal krtey hein aur parhez krtey hein jin say nafa hota hai, to kia taqdeer e ilaahi say iski mukhalifat to nahi hoti? Ap(S.A.W.W) nay farmaya: "yeh bhi to taqdeer e ilaahi hai kay yeh saari cheezen apna asar rakhti hein."   

🔸Yani saari cheezen Allah k hukum say apni taasir rakhti hein".

🍶Maiday kay  ilaaj ka masnoon tareeqa🍶

✨Hadees kay mutabiq agar pait bharnay ka hi khayal hai aur us say faraar nahi to aik tihai khana,aik tihai paani,aur aik tihai hifazat e nafs (yani khali pait) kay  liye rakhay .

✨Khanay  ki ziad'ti hmaari rohaani aur jismaani qu'aton ko kamzor kr deti hai.

No comments:

Post a Comment